Breaking

isaal e sawab aur fateha ka saboot

isaal e sawab aur fateha ka saboot,

hamare Amal ka badla hamare apne amal ka faayada hamey to haasil hota hi hai aur dusro ko bhi,

isaal e sawab aur fateha ka saboot,
isaal e sawab aur fateha ka saboot

Allah ke rasool ﷺ Aur khud Allah Ta-aala ne hamey yeh taalim de di hai ki hum apne Amal se dusro ko bhi faayada pahocha sakte hai. Duniyavi aur Ukhrawi dono tarah ke faayade hum pahocha sakte hai jaise ki Dua hai,

Misaal ke taur par dua ek amal hai iss liye dua jo makbuli ibaadaat kehlaati hai yaani Dua ibadat ka magz hai, yaani ebadat mei asal hai dua to Ebadat ek Amal hota hai To iska matlab duaa bhi ek amal hai hamari dua se dekho to ukhravi faayada hota hai,

Nabi e kareem ﷺ ne farmaya, ek shakhs ka marne (inteqaal) ke baad Ek darja buland huva to usne Allah paak ki baargaah me Arz ki yaa rabbe kareem mere aamaal ka silsila to khatam ho gaya hai, to yeh kis vajah se mera darja buland huva ? To allah paak ne irshad farmaya ki Teri Nek Aulaad ne abhi tere liye dua e bakhsis ki hai yeh uska badla hai jiski vajah se tera Darza buland huva hai,

Ab iska matlab yeh huva ki duao se darje bulund hote hai Aur dua bhi ek amal hai, yaani hamari dua bhi ek amal hai lekin issey dusro ko bhi faayda pahoch raha hai, iss tarah ki bahot saari riwayat maujood hai jissey ye baat saabit hoti hai ki kisi ke liye dua karna ya ishal e sawab karna ye saabit hai,

Ishal e sawab ka saboot


Hazrat Saad raziallahu anho ek martaba nabi-e-kareem ﷺ ki khidmat me haazir huve Aur Arz ki yaa rasool allah ﷺ meri walida (maa) faut (ibteqal) ho gayi hai Ab unke liye konsa Sadka afzal hai ? Toh sarkaar ne irsaad farmaaya Paani (water) yaani aap ﷺ ne paani ka farmaaya To hazrat Saad ne paani ka ek Kua - well (पानी का कुआ) khudwaya Aur uss par ek plate lagwai jiss par apni walida ka naam bhi likhwaya ki (Saad ki Maa ke Liye) yaani hazrate saad ki maa ke isale sawab ke liye, Aur isme Aap ka iraada (yaani niyyat) ye thi ki Log iss kuve se paani piyege to iska sawab meri walida ko pahochega,

To iss tarah ye Amal hamara kiya huva hai lekin iska sawab Murde ko pahoch raha hai, humne uske (marhoomo) ke isaal e sawab ke liye koi kaam kiya aur sawab jaari ho gaya,

issi tarah quraan khwani, nazro niyaz vagairah ka ishal e sawab jo hum karte hai wo sariat ke mutabik sahi hai Aur issey hamey aur jiske liye ye isaal-e-sawab kiya jaaye dono ke liye faayada hai To iss liye Apne Amal ka badla kisi ko de sakte hai Aur yeh sariyat hamey jahan deti hai,

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"