Breaking

Parde Ka Hukm Kab Nazil Huva ?

Parde Ka Hukm Kab Nazil Huva

Parde ka hukm kab nazil huva iske mutallik shaikh e kabeer Allama saheer hazrate sayyiduna makhdoom, Muhammad hashim thathawi (Alaihrehma) Apni keetab sirate sayyadul auliya me farmate hai. iss saal yaani (4 Hijri) zilqada ke mahine me ummul momineen hazrate jainab binte jahas (raziallahutaaala anha) ki kaasnaaey nabuwwat me rukhsati ke din musalmaan auraton ke parde ka hukm nazil huva,
parda hijab niqab
Parde Ka Hukm Kab Nazil Huva

Aurat ke Liye Parda Kyu Jaruri Hai. ?

Baaz ulma e keeram ka kehna hai ki ye hukm 2 hijri ko najil huva. Magar kaul e awwal yaani pehla kaul hi rajeh hai. Issi Tarah hazrate sayyiduna imaam ibne hajar ashklaani bhi Fathul baari, me iss hukm ke nazil hone ke mutallik chand aqwaal zikr karke. ek qaul ko tarji dete huve irsad farmaate hai. Inn tamaam aqwal me sabse jyada mash-hoor ye hi hai ki parde ka huqm, 4 hizri me naazil huva. Iss liye parda bahot jaruri hai. Aurat ki sabse badi taarif yeh hai ki uski nigah apne shohar ke siva kise aur par na ho, Agar uski nigah me chand mard aa gaye to yuh samjho ki aurat apna johar kho chuki, fir uska dil apne ghar- baar me na lagega jissey ye ghar aakhir tabah ho jaega. Iss liye parda karna jaruri hai.

Parda wa Hijab Goya islami Shiaar Hai

Hijab yaani parda islami shi-aar ki haisayat rakhta hai. kyu ki islam se qabl yaani islam se pehle auart be-parda thi, Aur islam ne ussey parda wa hijab ke jewar se aarasta kar ke azmat wa kirdar ki bulandi ata farmaayi, Jaisa ki farmaane baari ta-aala hai. (Tarjuma e kanzul imaan) AUR APNE GHARO ME THEHRI RAHO AUR BE-PARDA NA RAHO JAISE AGLI JAHILLIYAT KI BEPARDAGI. (Maulana Naeemuddin Muradabaadi iss Aayate mubarak ke tahat Tafseer e khazainul irfan me) Farmaaye hai ki, Agli jahilliyat se muraad qable islam ka zamana hai. uss zamane me aurate itraati nikalati thi. Apni jeenat wa mahasin, yaani banaav, singar, aur jism ki khubiyaan maslan siney ke ubhaar vagairah ka izhar karti thi, ki gair mard dekhey. Libaas aise pehanti thi jissey jism ke aaja acchi tarah na dhakey. Afsos Maujuda Daur Me Bhi Zamana e Jahiliyat Waali Be-Pardi Paayi Jaa Rahi Hai. Yakinan Jaise Parda Uss Daur Mei Jaruri Tha. Vaisa hi Ab bhi Jaruri Hain.
Keetab: Islami Zindagi - Page 106 (Multaqatan)




No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"