Breaking

hazrat ammar ka waqia

HAZRATE AMMAR KA AAG PAR SONE KE BAWAJOOD ISLAM PAR SABIT QADMI 


 Jab hazrat Ammar Ibne yasar radiyallahu Ta'ala anhu Iman laye aur islam me dakhil huve to unhe kafiro ne pehle chabuk ke kode mar mar ke behosh kar diya, fir Aag ke garm koylo pe pet ke bal leta diya, Lekin aap Islam par pahad ki tarah sabit kadam rahe.
hazrat ammar ka waqia
hazrat ammar ka waqia
Us halat me uss waqt wahan se Nabi e Karim Sallallahu Alayhi Wasallam ka guzar huva, to hazrat ammar radiyallahu ta'ala anhu ne "Ya Rasoolallah" Keh Kar Pukara" Hazrat ammar radiyallahu Ta'ala anhu ko inn taqlif o musibat me dekh kar rehmate aalam sallallahu alayhi wasallam ka shishe se bhi zyadah nazuk dil mubarak In sadmo se chur chur ho gaya.

Aur Farmaya : "Aye Aag Tu Ammar Par Is Tarah Thandi Aur Salamat Ban Ja Jaisi Tu Hazrat Ibrahim Alayhissalam Thandi Aur Salamat Ban Gayi." Rehmat e Aalam Sallallahu Alayhi Wasallam Hazrat Ammar Radiyallahu Ta'ala Anhu Ke Zakhmo Par Apna Pyara Dast (hath) e Mubarak Firate Huve Farmate ki : "Ammar Taiyab Wa MuTaiyab (Pakiza Aur Khusbudar) Hai."

 => Aqmal => Sahaba Ka Ishqe Rasool Page-82 Aaj Hum Logo 5 Waqt Namaz Bhi Sahi Aur Thik Se Nahi Padhte,Pura Din Gali Galoch,Gibat,Chugli,Be hayi,BadNigahi Karte Hai, Fir Bhi Khud Ko Fakhr Se Musalman kehte Hai Ye Sochne Wali Baat Hai !!! Humare Amal Jahannamiyo Jaisa, Aur Khwahish Jannat Me Jane Ki.


Wo Sahaba Jo Itni Sakht Musibato Ke Bawajood Islam Par Sabit Qadam Rahe Aur Hum Tak Is Deen e Haq Ko Sahi Salamat Pahunchaya Hai, Hume Bhi Chahiye Ki Hum Apne Gharwalo,Rishtedaro,Muslim Bhaio aur Behno Tak Isko Pahunchaye Matlab Ke Ilm Pahunchaye,Jo Wo Shariat Farz Ilm Nahi Jante to Ilm Sikhaye. Aaj hume koi musibat ya dushwari nahi aur na koi taqlif hai.

Shohar Aur Biwi (जरुर पढे)

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"