Breaking

Aurat Aur Parda In Islam

Aurat Ka Matlab - Aurat Meaning in Islam

Aurat ka matlab hota hai ki Jism ka woh hissa jiska Jahir hona kaabile aar wa sharm ho. Ek riwayat me aata hai ki aurat mard e ajanabi ke liye sar se paav tak parda yaani chhupane ki chij hai, Aur chhupaya ussi chij ko jaata hai jisko gair ki nazro se bachana maqsud hota hai.
Gair se muraad kaun hai ? Iske mutaalik Allah Azzawajal ke pyare habib huzoor (SallallahuAlaihiwasallam) Ne irsaad farmaaya ki, Aurat parde me rehne ki chij hain. Yaani jab wo bahar nikalati hai to saitaan ussey nigah utha utha kar dekhta hai. Mufassir e Shahir Haqimul ummat mufti Ahmed yaar khan iss Hadees e paak, ki sarh me farmaate hai ki. kisi bhi chij ko Ba-gaur dekhna, Yaa iska maana hai. Logo ki nigah me accha kar dena. taaki log ussey  ba-gaur dekhey, yaani Aurat jab be-parda hoti hai, To shaitan logo ki nigah me ussey bhali kar deta hai. ki log khwah khwah ussey  takte (Dekhte) hai misl mashoor hai ki, Parai Aurat Aur Apni Aulaad Acchi Maloom Hoti Hain. Aur Paraya Maal Aur Apni Aql Jyada Maloom Hoti Hai.
Aurat Aur Parda In Islam
Aurat Aur Parda In Islam

Parda - Hijab Kya Hai ? Hijab ka meaning

Hijaab arbi juban lafz hijbun se nikla hai, jiska matlab yaani meaning hai, kisi ko kisi sai tak rasai hashil karne se rokhna. Aur hijab ke mutallik Allama Sharif Jurjani (RahamatullahiAlaih) kitabul rifaat mei Farmaate hai ki, hijab se muraab har wo sai hai jo aap se aap ka maqsud chhupa dey. Yaani aap ek sai ko dekhna chahe magar woh sai kisi aad yaa parde, me ho to uss aad ya parde ko hijab kehte hai, Hijab ka ye mafhum quraan e kareem mei kai maqaamaat par majkur hai. Nij aurto ke hijab se kya murad hai ? iske mutallik hazrate sayyiduna imaam ibne hajar asqlaani (rahamatullahi aliah) farmaate hai, Aurato ke hijab se muraad yeh hai (yaani woh iss tarah parda karey) ki mard unhe kisi tarah dekh na sake.
Keetab: Bahare Shariyat, Namaze Musafir ka Bayaan, 1/752





No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"