Breaking

jumma ki fazilat hadees

jumma ki fazilat hadees 

Hadeeso me Jumme ki badi Fazilat bayan ki gai hai Daalte hai 1 nazar Jumme par .. Jumma ki Namaz sabse pehle 12 Rabi- ul-Awwal 1 Hijri ko Nabi e Pak (Sallal Lahu Alaihi Wassalam) ki Imamat me padhi gai ,, Jisme Sahabao ki Tadaat 100 thi . (Mohsine Insaniyat 703)
jumma ki fazilat hadees
jumma ki fazilat hadees

Jumme ki Mubarakbaad Dene ka bhi Ajr hai.

Hadees: Ae Musalmano k Giroh. Beshak Ye Jumma woh Din hai Jisko Allah ne Eid Banaya h . (mishkat Hadees no. 123) Hadees: Jo mujhpar Jumma k din Duruud padhe , Uski Shafa'at karunga . (Kanzul Ummat jild 1 Safa 225 hadees.2236)


  • Hadees: Jisne Juma k Din Mujhpar 200 bar Duruud padha ,, uske 200 saal k Guhaan maaf ho gaye . (Kanzul Ummal Had no. 2238)

Hadees: Jo Jumme k Din ya Raat 100 bar Duruud padhe , Uski 100 Hajate puri hongi 70 Akhirat me or 30 dunyavi . (Musnad Abu)

Jumme ki Namaz na chhode,

Hadees: Jisne Jumua ki namaz (2 Raqaat jumua se pehle 4 rakat sunnat Namaz Aur Juma ke baad ki 4 Sunnat aur 2 Sunnat aur 2 Nafil namaz padhi Allah paak uss par Jahannam ki Aag ko Haram kar dega .(Tizimi sharif v1 Hadees 410)
Hadees: Jumme ki Namaz k liye Azaan di jaye To tum Allah ki Yaad k liye Chal pado K tumhare liye Behtar he agr tum Jante ho . (bukhari) Hadees: Jumme ki Namaz dusre Jumma k Gunaho ko Maaf kar deta hai(Ibn e Maaja)

Jumma ki Namaz Jamaat Se Padhna

Hadees: Jo Shaks Jumma ki Namaz Jama'at k sath padta h , Allah uske liye 1 Maqbool Haj ka Sawab likhta he. (Ghuniya tul Taliban) Hadees: Jisne 3 Jumma Susti Barte Hue Chhod diye to Allah Ta'ala uske Dil par Mohar Lagadega . (Abu Daud ,, Tirzimi) Jumme k Din khas tor se Gusl kare Ye Jumma ki Sunnato me se 1 hai Hadees: Jumma ka Gusl Aadmi k Gunaho ko Uski Baal k Jad se Kheech leta he.(Tibrani)

Juma ke din gusl karne ki hadish

Hadees: Jo shaks Jumua ke din Acche se Gusl kare Aur fir Awwal waqt me (yaani pehle jaldi) Masjid me jaye to goya ki usne Ouont (ऊंट) ki Qurbani ki. (Muslim sharif) Hadees Jumma k Din Duao ki Qubuliyat ka Din bhi hai : Jumma k Din Aisi Ghadi aati hai Jisme Agar koi Muslaman banda Khada Namaz padh Raha ho Or Dua mange to Allah uski Dua Qubuul kare . Kuchh Hadeeso me Khutbe k baad ka waqt or Jumme ki namaz k baad jo Dua mango puri hone ka b Zikr he Jumme ki Fazilate Itni he ke Bayan b nai ki jaa sakti,

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"