Breaking

Ala hazrat

Ala Hazrat : Beshaq Quran majeed science bhi shikhata hai.

aur calculations bhi. Aab gaur karein kitni baar takreeron mein hi humne suna hai total itne huroof aur aayatein aur unke ek doosre se relationship.. aur fir space ka bhi zikr aaya aur medical science ka bhi,
Ala hazrat
Ala hazrat

Ala hazrat 

Mere khayal se jub itne bade paaye ke buzoorg Imam Ahmed Gazali Rehmatullah Alayh ne jo mathematical calculations ke khilaf fatwa diya hoga woh isliye hoga ke oska istemal nujoomiyon ( astrologers ) ki tarah nahi hona chahiye ke chaand sitaron ki rawish se ye kehte firein ke ye hoga ya wo hoga.. more so astrological predictions ko nazar andaz karte huwe hoga.. maybe some how ye baat clear specify karne ki miss ho gayee hogi.. and it just got carried on... Ye bhi dhekna chahiye ke unhone jub ye baat kahi unki haqiqi Zindagi ka kitna daur baki tha... Aur fir ye baat clarify na ho paayee ho and just nazar andaz ho gayee... And it just carried on... Aur haan *Imam Ahmed Gazali Rehmatullah Alayh Islamic widwaan kahe jaane waale nahi.. Islamic vidwaan hi Hai.
Warna Newton ne bhi toh do darwaaze banwaaye the... Badi billi ke liye bada darwaaza aur choti billi ke liye chota darwaaza... Beshaq education hi har tarqqi ka foundation hai..for arguments jub har medical bimaari ka ilaj Quran aur Hadees ki raoushani mein milta hai
 Huzoor Sallallaho Alayhe Waalehi Wabarik Wasallim ki talim aur tarbiyat see milta hai.Toh fir ek musalmaan doctor kyoon nahi ban sakta... Jub physics ke principles aur calculations Quran aur Hadees see milte hain toh fir musalmaan engineer kyoon nahi ban sakta.
Printing press par tub ke hukumranon ne jo diya hoga wohi behtar jaane... Agar gaur karo tohislam ki buniyaad hi sub se aham do cheezon par hai hai… Ilm aur Kalam.. bachpan se har baccha padhte aaya hai.. Allah Rabbul Kareem ne jub zahir hona chaha to Subse pehle Apne Mehboob ka noor banaya aur fir oos Apne Mehboob ke Noor se fir *Lauhe Mehfooz* banaya aur fir *Kalam* aur Lauhe Mehfooz par Quran like diya aur Quran mein har baat ka ilm.. Toh issse toh Meri naqis samajh mein ye baat aati hai Allah ko Janna chahte ho toh uske Mehboob ko jaano aur Mehboob ko paana chate ho toh ilm hasil karo.
 ilm Lena chate ho toh.. jaise subse pehle junior aur senior kindergarten mein sub se pehle kalam chalana sikhaya jaata hai.. aur jub kalam chalne lagti hai… ilm bhi hasil hone lagta hai.. aur jub ilm haseel hone lagta hai toh kalam aur bhi raftar se chalti hai …. Printing press toh sirf oos Kalam ka extension hai.. Aaj hum jyadatar bidat mein jyaada ulajh gaaye jain.. Subse pehle toh subko bidat samajhne ki zaroorat hai.. har cheez mein bid'at aur bina soche samjhe .. oos Amal ko jaane bina.. bus bida't karar de dete Hain..aur right away putting it in the category of bid'ate saiyyah… some time aise lagta hai ke.
govt koi accha kaam bhi karti hai. toh opposition waale sirf oppose karne ke liye.. bus ooska oppose karti rehti hai yaa fir baapu ne jaise kaha.. Langare Ahlebait miskino ko Khana khilata hai  toh bhi kuch logo ko pareshsni.. bid'ate hasana bhi koi cheez hai.. jis tarah se har cheez ke do pehloo hai. bid'ate hasanah aur bid'ate saiyyah… duniya mein bhi har acchi cheez hai toh wahin buri cheez bhi.. Jahan ek momin wahin shaitaan bhi hai.. toh fir hum ismein kyoon uljhen.. momin apna farz nibhata hai.. shaitaan apna kaam karta hai
Genetics engineering aur stem cell research aaj itne aham hai.. and same way in a way oosmein acchaiee aur buraee bhi.. ek taraf iss research ki wajah cancer aur kayee jaan lewa bimariyon ka ilaj almost mil chooka hai..Jo ki ek bahoot acchi baat hai.. wahin.. kuch log iss technology ka istemaal jaanwaron ke clone banane mein bhi istemaal kar rahe hai.
hubahoo oosi shakl sorat aur mijaz waale janwar laboratory mein bana rahe hai.. aur woh din bhi door nahi ke hoobahoo mere tumhare jaisa insaan bhi laboratory mein bana lenge.. aap hi gaur karo.. ke technology ke iss jaan bachaane wale pehloo ko nazar andaz Kar dein cloning ke iss pehloo ko lekar… achai bhi hai aur buraee bhi.. Internet ko sahi istemaal karo toh saccha ilm kitni asaani se failaya ja sakta hai… aapka source sahi hai toh aap ghar baithe sirf aur sirf kuch clicks daba kar ilm hasil Kar sakte ho phaila bhi sakte ho wahin.. internet par ootna hi kachra bhi bhara pada hai.. Jo jiski nisbat rakhega, woh payega..Jo niyat karega wahi Amal mein reflect hoga. momin toh fir bhi momin rahega.
aur shaitaan bhi apna kaam karega... Ilm haseel karo aur Mehboob ko jaano… Mehboob ko jaano aur Allah ko pao… *ALLAH…. HOO….* Nazre Karam Ya Saiyadi Ya Murshidee Sallallaho Alayhe Waalehi Wabarik Wasallim

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"