Breaking

Shohar Biwi

Shohar Biwi - Jannati Aurat

Jab koi Biwi Apne Shohar ko Takleef Deti Hai Tab Kya Hukm Hai ?


Hazrat muaz bin jabal (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai ke, Rasool’Allah (ﷺ) ne irshad farmaya: Dunia mein jab koi Biwi apne shohar ko takleef deti hai to uss waqt Jannati hooron mein se uski Biwi (hoor biwi) kehti hai: “Allah tujhe barbaad kare" usey takleef na de. yeh to tere paas mehman hai. Qareeb hai ke ye tujhe chorh (छोण) kar hamare paas pahunch jaye. (Silsila Ahadees-e-Sahiha 2012) (At-Tirmidhi; Arabic/English book reference: Book 1, Hadith 287)
Shohar Biwi - Jannati Aurat
Shohar Biwi - Jannati Aurat
(1) Behtarin Aurat Ki Sifat : Hazrat Abu Hurairah (Razi’Allahu Anhu) se riwayat hai ki, Rasool’Allah (ﷺ) se pucha gaya ki, “Behatreen Aurat kaunsi hai ?.” Toh aap (ﷺ) ne irsad farmaya: “Wo Aurat jisko uska shohar jab dekhe tou wo usko khush kar de, aur jo hukm wo (Shohar) usko de wo apne shohar ki farmabardari karey fir apne nafs o Daulat me apne sohar ke khilaf koi kaam na kare.” (hadish keetab : Sunan Nasaii, Jild 2, 1143-Sahih)

(2) Behtarin Aurat Ki Pehchan : Rasool’Allah (ﷺ) se daryaft kiya gaya ki ‘Behtarin Aurat ki Pehchan kya hai ?’ tou Aap (ﷺ) ne farmaya “Jo Aurat apne Shohar ki Ita’at wa farmabardari kare.” (Nisaai Sharif: Jild-2, Page-364)

(3) Jannati Aurat ki Pehchaan : Allah ke Rasool Huzoor Paak (ﷺ) ne ek roz Sahaba-e-Kiraam se irshad farmaya ki “kya mai tumhe Jannati Aurat ke baare me na bataoun?” Toh Sahaba E Kiram ne Arz kiya Ki “Aye Allah ke Rasool Aap zaroor batayen” Toh Nabi-e-Kareem Huzoor (ﷺ) ne irshad farmaya ki “Har wo Aurat jo shohar se bahot mohabbat karne wali, zyada bacche jan’ne (paida karne) wali, Jab uska shoher naraaz ho tou wo apne shohar ke hath me hath deker kahe ki “Uss waqt tak is jagah se nahi hilungi jab tak ki aap mujhse raazi nahi ho jayege”
(Sukoon-A-Khana, Pg-130-31)

(4) Jannat ki Aurton aur Hooron ki khubi : Agar tum Allah Ta'aala se darne wali ho toh baat me ‘Naram’ Andaaz na ikhtiyar karo ke dil ki kharabi Mei mubtala koi bhi sha'khs laalach mein pad jaey (Al-Quraan : Sura-e-Ahzab 33:32)

(5) Jannat ki Aurto’n aur Hooro’n ki khaas khubi ye hai ke woh Nigaahe’n neechy rakhne wali hain (Al-Quraan : Sura-e-Rehman) Aur apni Zeib-O-Zeenat zahir na Karei’n siwaaye uske Jo azkhud zahir ho jaye. (Al-Quraan : Sura-e-Noor :24:31)

(6) Jo Aurat namaz padhe, Roze rakhe, apni Izzat ki hifazat kare, Shohar ki Ita’at kare, wo Jannati hai.(Ibne Habban)

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"