Shan-E-Gaus-e-Aazam RADI ALLAHU TAALA ANHU
Wiladat E Gaus e Paak Mubarak 1 Ramadan.
(1) Seerat e hazrat gaus e paak : Hazrat sheikh syedna Abdul Qadir Jeelani radiallahu ta’ala anhu Alqab : Muhyuddeen, sayyidul auliya, Peeran e peer, Gause aazam, shaikh e la-saani, Qutb e Rabbani, Mehboob e subhani.![]() |
Shan e Gaus e Azam |
SARKAR GAUS-e-AAZAM KI WILAADAT: 1-RAMZAN, Hijri : 470, (Jilaan, IRAN). WISAAL: 17- RABIUL AAKHIR, Hijri : 561 (Bagdaad, IRAQ). (SIRAAT-E-MUSTAQEEM)
(3) SarkaaR GAUS-e-AAZAM Paidaishi Wali The Paida hote hi aap ne RAMZAN ke Roze Rakhe aap ki wiladat ke waqt Aaap ki walida majida ki umar (Age) 60 saal ki thi (60 year). Jab hazrat gaush-e-paak apni walida (maa) ke pait mei they aur chikk (छींक) Aane par jab aap ki Maa "ALHAMDULILLAH" Kehtu to aap jawab me "YARHAMUKALLAH" Kehte.
(4) Sarkaar GAUS-E-AAZAM Ki Jiss Din Wiladat (paidaish) hui uss din "Jeelan Sharif" Mei Takriban (Gyarahso) 1,100 Bacche bhi uss din paida huye Aur woh sab bji Ladke they, Aur sab ALLAH ke wali baney (KUTUB-E-KASIRA)
(5) Sarkar Gause Aazam Ne 15 Saal tak Rozana isha se fazar ke darmiyaan "1 QUR'AN-E-PAK" Farmaya (AKHBARUL AKHYAAR) SarkaR GAUS-E-AAZAM 15 Saal ke dauraan Aksar roze rakhte they. Kabhi 3 Din ke baad iftar farmate to Kabhi-Kabhi 40 Din tak bina khaye-piye hi rehte, (AKHBARUL AKHYAR)
(6) SHAAN-E-GAUS-E-AAZAM: Gause paak ke bachpan me Aap jab madarse me Tashrif Le jaate to Gaib se Aawaz aati "ALLAH Ke WALI KO JAGAH DEDO." (KUTUBE KASIRA)
- Read This New ➨ More Hindi Post (हींन्दी)
No comments:
Post a Comment