Breaking

DJ Par Naat-e-Nabi Sunna Sunana Kaisa

DJ Par Naat-e-Nabi Sunna Sunana Kaisa ?

Is post me hum aap ko Batayenge ki DJ ka pura naam kya hai ? Aur DJ kya hota hai Aur woh kya kaam karta hai? Aaj ke waqt me DJ ke baare mei kaun nahi jaanta, Har Shadi, party, function mein dj dekhne ko mil jaayega Lekin abhi bhi aapko DJ ke baare me sahi jaankaari nahi hogi… is liye humne ye post Likhne ka socha hai.

DJ Par Naat-e-Nabi Sunna Sunana Kaisa
DJ Par Naat-e-Nabi Sunna Sunana Kaisa

DJ ka pura naam DJ Ka English Me Pura Naam “Disk Jockey Or Disc Jockey”, kehte hain, 

Hindi Me dj ko “Record Yojak (रिकर्ड योजक)”, Aur Gujarati Me issey “Gramophone record ke programma karne wala (ગ્રામોફોન રેકર્ડના કાર્યક્રમની રજૂઆત કરનાર)” keh sakte hain Aur Urdu me, “Music ya gaana chalane wala (مویجك چلانے والا)” hota hai.! Chaliye Ab iske Tallauq se thodi guftugu karle taki aap ke zehan me DJ kya hai Aur woh kya kaam karta hai woh clear ho jaaye. DJ ka matlab kya hota hai.? Bahot se Log speaker Aur gaane yani song mix karne ki machine ko hi DJ samjhte hai lekin aisa bilkul bhi nahi hai.! yah word DJ us shaksh ke liye istemaal kiya jaata hai jo party, pub ya Disco Club, ke saamayeeno ke liye gaana (Song) bajaata hai.! Ek Disk jockey, Aam taur pe mash'hoor party ke gaane (Song) bajata hai Aur posheeda music yaa music mix karta hai, kabhi kabhi ek original gaane ko Ek naye music Aur pasheeda gane ke saath puri tarah badal deta hai. Party me ya function me bajane wale gaano pe ek Disk Jockey, ka pura handaling hota hai. Kaun kaun se tarah ke DJ hote hai.? : Program ke mutabik DJ hote hai. jaise ki. Radio DJ : Ye Radio Jockey Ya Radio personality ke taur pe jana jaata hai, Ye AM, FM Aur Internet Radio station, Pe saaye hone wala music pesh karta hai.

Club DJ : Ye DJ music party me gaana Aur gana mix kar ke apni Creativity ke mutabik party halls, Pubs Aur Clubs, Me chalata hai, Ye saamayeeno ke mood ke mutabik gaane ko mix karte hai Aur uspe jhoomne pe majboor karta hai. Ab aap batao Eid-e-Milad-un-Nabi(ﷺ) ke juloos me Bade-Bade Speaker me jo Naat sharif bajate hai usme kaha pe kisi DJ ka istemaal aata hai.??? is liye agar speaker se hum Hamd-e-Khuda, Naat-e-Nabi, ya Maqabat, Bajaye To uspe shariyat ki koi pakad nahi, Magar Us Speaker se Aanewali hamd-e-khuda, naat-e-nabi - maqabat, me music hoga woh ja'iz nahi hai. Isliye Bade-bade speaker yani awaami pehchaan DJ haraam nahi balki usme se bajne wala music, gaana-baaja, Aur gair'sharai kalam haraam hai. Hamd-e-Khuda, Naate Nabi, Ya Maqabat nahi… is liye Aap apne zehan ko clear kar dijiyega ki Awaami Language wala DJ Haram nahi balki speaker se Aane Wali Awaaz me music, ganaa-baaja, Aur Gair sharai kalam ho to wo haram hai.
Isliye Bade-Bade speaker me Juloos-e-Milaad me sarkaar ki naate bade dhoom dhaam se bajaaye koi sharai kharabi nahi. Isliye meri sunni Awaam Aaj jo DJ ke mamle me Confused ho chuki hai unki isLah ke liye ye post jaroor padhe Aur dusro ko bhi share kare. yaad rahe ki hum kis ke ummat-e-nabi hai, hum kis nabi ki ummat hai.

ALLAH (عَزَّوَجَلَّ) Hum sab ko issey samajane ki nek taufik ata karey. Aur hamey likhne - sunney - sunane se jyada Amal karne ka jazba aur taufik ata farmaye, Aameen Yaa Rabbul Aalmeen..


No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"