Breaking

Juma Ki Barkate

Juma Ki Barkate - Har Jumma ko 1 crore 44 laak jahannam s Aazaad.

Sarkare madina huzoor sallallahualaihi wasallam ka farmane najaat nishan hai. Jumma ke din aur raat me 24 ghante hain, koi ghanta aisa nahi ki jisme allah ta-aala jahannam se 6 laakh aazaad na karta ho. jinn par jahannam wajib ho gaya tha.
Juma Ki Barkate
Juma Ki Barkate 

Azaab e Qabr se Mehfooz.

Taazdar e madina e munawwara, sultane makkah e mukarramah, ﷺ ne irshad farmaya, jo roze jumua ya shab e jumma (Yaani jumeraat aur jumma ki darmiyani shab) marega ussey azabe qabr se bacha liya jaega. Aur qayamat ke din iss tarah aaega ki uss par shahido ki mohar hogi.

200 Saal ki Ebadat ka Sawab.

Hazrate sayyiduna siddiq e Akbar, Wa Sayyiduna imran bin hussain, (Raziallahuta-aala Anho) riwayat karte hai ki Taazdare madina, sultane makkah mukarramaah Huzoor nabi e kareem ﷺ ne irshad farmaya. Jo juma ke din Nahaye uss ke gunah aur khataye mita di jaati hai. Aur jab chalna suru kiya ho to har kadam par 20 nekiya likhi jaati hai, Aur dusri riwayat me hai har kadam par 20 saal ka Amal likha jaata hai, aur jab namaz se farig ho to ussay 200 baras ka ajr milta hai.

Jumma ke Paanch (5) Khususi Aamaal.

Hazrate sayyiduna abu saeed - Raziallahuanho se marwi hai ki sarkar e 2 aalam noore mujassam shah e bani aadam Rasool e muhtasam huzoor ﷺ ka farmaan e muajjam hai. 5 chije jo 1 din me karega Allah Azzawal usko jannati likh dega.
(1) Jo mareez ki iyaadat ko jaaye (2) Namaz e janaza me hazir ho (3) Roza rakkhey (4) Namaz e jumma ko jaaye (5) Gulam aazaad karay.
Jannat Wajib ho Gayi.
hazrate sayyiduna abu umama (Radiallahuanho) se marwi hai, sultan e do jahan sahansha e kauno maqan, rahamate almiyan hazrat mehboob e khuda ﷺ ka farmaan e aalishan hai. jiss ne jumma ki namaz padhi uss din ka roza rakkha, kisi mareez ki iyadat ki, kisi janaze me hazir huva, Aur kisi nikah me sirkat ki, To jannat uske liye wajib ho gayi.
Sirf Jumma Ka Roza Na Rakhiye.
khususiyat ke saath tanha juma ya sirf hafta ka roza rakhna Makrooh e Tanzeehi hai, Ha agar kisi makhsoos tarikh ko jumma ya hafta aa gaya toh karaahat nahi. Maslan 15 Shabanul Muazzam Ya 27 Rajjabul murajjab vagairah, Farmaane mustafa Jumua ka din Tumhare liye eid hai iss din roza mat rakkho magar issey pehle ya baad me bhi roza rakhkho.
Ek Jumma se Dusre jumma tak gunaho ki maafi.
Hazrat sayyiduna salman faarsi (Raziallahuanho) se marvi hai ki sultan e do jahan, shahanshah e kauno maqaan, rahamate almiyaan ﷺ ka farmaan e Aalishan hai ki jo shakhs jumma ke Din nahaye aur jiss taharat (yaani paakizagi) ki istita-at ho karey Aur Tail lagaye, aur ghar me jo khushbu ho male (khushbu lagaye) fir Namaz ko nikle aur Do (2) Shakhso me judai na karey. yaani 2 (Do) Shaks baithe huve ho unhe hata kar bich me na baithe, Aur jo namaz uske liye likhkhi gayi hai padhey Aur imaam jab khutba padhe toh chup rahe.
Uss ke Liye unn gunaho ki, jo iss jumua aur Dusre jumua ke darmiyan hai Maghfirat ho jaegi.


No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"