Breaking

Jumma Mubarak

Jumma Mubarak - Jumma ke Maana jumma ka meaning.

Mufassire Sahir hakimul ummat mufti ahmed yaar khaan (RahamatullahiAlairahma) farmaate hai ki, juma ka maana. yaani jumma ka meaning, yuh farmate hai ki Iss din (jumua ke din) tamaam makhlookat wajood me mujtamah yaani (ikatthi) hui ki takmile khalq isi din huyi, Aur hazrat e Aadam (Alaihissalam) ki mitti isi din jamaa hui, Aur iss din me sab log (momin) jama hokar Namaaz e jumua ada karte hain, Inn vajah se issey (iss din ko) Jumua-jumma kehte hain. Islam se pehle Ahl e arab issey Aroobaah kehte they.Miratul Manajih : Jild 2, Shafa
317.
Jumma Mubarak
Jumma Mubarak

Jumma ke Durood paak ki fazilat

Nabiyon ke sultan sarkar e do jahaan huzoor ﷺ Ne Irshad farmaane barkat nishan hai, Jiss ne roze jumua mujh par 200 baar durood paak padha. uske do so (200) saal ke gunah maaf hogey.
Hum kitne khush naseeb hai ki Allah tabarak wataala ne apne pyare habib ﷺ ke sadke hamay jumma tul mubarak ki naimato se sarfaraz farmaya.
Afsos ki hum jumua mubarak ko bhi aam dino ki tarah gaflat me guzar dete hain. Haalaki jumma yaum e eid hain. jumma sab dino ka sardar hain, jumma ke Roz jahannam ki Aag nahi sulgai jaati, jumah ki raat dozakh ke darwaze nahi khulte, jumma ko baroze qayaamat dulhan ki tarah uthaya jaega, Jumma ke din marne waala khusnaseeb musalmaan shaheed ka rutba, Paata hai aur Azaabe qabar se mehfooz ho jaata hai. Mufassir e Shahir hakimul ummat, mufti Ahmed yaar khaan (Alaihirahma) ke farmaan ke mutabiq, Jumua ko hajj ho to uss hajj ka sawab 70 (sattar) hajj ke barabar hai, Jumma ki ek neki ka sawab sattar (70) guna hai, kyu ki jumma ka sharaf bahot jyada hai. Lihaza Jumua ke roz gunah ka Azaab bhi 70 (sattar) guna jyada hain.
Malakkhas Aj Miraat, Jild-2 Safa 323, 325, 336.
3 Jumma Susti se Tark (Chhod) Dey Uske Dil Par Mohar
Allah ke mehboob Daana e guyoob munajjanhun Anil uyub Hazrat mehboob e khuda rasool Allah ﷺ ka farmaane ibrat nisan hai, Jo shakhs 3 (Teen) jumma (ki namaz) Susti ke sabab chhodey, Allah uske dil par mohar kar dega. Jumua farz e ain hai Aur uski Zohar se jyada muakkad (yaani taakidi hai) Aur iska munkir (yaani inkaar karne wala) Qaafir hai.
Keetab : Bahar e Shariyat-Jild + 1, Page Safa 762.

Jumua ke Imama Shareef ki Fazilat.

Sarkar e madina, Sultane baa kareena qaraar e qalb o sina, Faiz ganjina Huzoor Nabi e kareem ﷺ ka irshad e rehmat buniyaad hai : Beshaq Allah ta-aala Aur uske fariste jumua ke din imaama baadhne walo par durood bhejte hai.
Juma ke din Nakhoon kaatna
Sadruhsariah Badruhtariqah maulana amjad ali aazmi (Alaihrahamatullahilqawi) farmate hai ki Hadeesh paak me hain. Jo jumma ke din Nakhoon tarswaye (Naakhun kaate) Allah ta-aala usko dusre jumuah tak balao se mehfooz rakhega, Aur 3 din jaaeid yaani 10 Din tak. Aur ek riwayat me yeh bhi hai ki jo jummah ke din naakhoon taraswaye (nakhun kaate) to rehmat aaegi aur gunah jaegey.
Bahare Sariat : Hissa 16, Safa 226.
Rizk me tangi ka Sabab
Sadrussariah badruttariqah maulana Amjad Ali Aazmi, (Alaihrahamatulqawi) Farmate hai ki Jumma ke din Nakhun tarsavana (nakhun kaatna) Mustahab hain, Haa Agar nakhoon jyada badh gaye ho to jumua ka intzaar na karey. Nakhoon bada hona accha nahi kyu ki nakhoono ka bada hona Tangi e Rizq ka sabab hai.
Bahare Shariat : Hissa 16, Safa 225.


No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"