Breaking

Islamic quiz no 1 - Sawal jawab islam urdu quiz

Islamic quiz no 1 - Sawal jawab islam urdu quiz


Islamic Quiz - 1
Sawal : Rasool-Allah ﷺ Ko jab bhi koi khush-khabri sunaaei  jati to Aap Huzoor ﷺ kya karte ?
A. 2 rakat Shukrana ki Namaz adaa Karte
B. Sadqa Karte
C. Azan dene Ka hukum dete
D. Sajdah al shukr ada karte
E. Mohtajiyo ko khana khilate
F. Innmain se koi Nahi
Sahi Jawab: Rasool-Allah ﷺ ke paas jab koi Khushi ki baat aati ya Aap ﷺ ko khushkhabri sunayee jaati to ALLAH Ta-Aala Ka Shukar adaa Karte huye Sajde main chale jaate.
Keetab: Sunan Abi Dawud 2774 Sahih (Al-Albani)
islamic quiz urdu islamic questions and answears
Islamic Quiz - Sawal jawab islam urdu quiz

Islamic Quiz - 2

Dono sawalon k jawab ek sath dijiye
Sawal 1: Ashoora ke Din Roza Rakhne par kya Sawab hai ?
A. 2 saal ke saghira Gunaho ka kaffarah.
B. Guzre huye saal k gunahon ka kaffarah.
C. Agle Aur Pichle Saare ke saare  chote aur  bade gunaho (se) ka kaffara.
D. Agle 2 saal k gunahon ka kafaarah.
E. 1 saal agle aur 1 saal pichle gunah Baksh diye jate hain.
F. In me se koi nahi
Islamic Sawal (1/2) Jab koi Banda ALLAH ki raah me ek din Roza rakhta hai to ALLAH Ta'ala uske munh ko kitne baras ki raah tak dozakh se dur kar deta hai ?
A. 7 baras
B. 10 baras
C. 70 baras
D. 100 baras
E. 700 baras
Sahi Jawab : (1/2)
Abu Qatada al-Ansari radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasooll-Allah Sallallahu Alaihi se Ashoora 10 Muharram ke din ke rozey ke bare mein pucha to Aap Huzoor Sallallahu alayhi waaalehi wasallam ne irsaad farmaaya ki Ye guzare huve saal ke gunaaho ka qaffara hai.
Keetab: Sahih Muslim, Vol 3, 2747
Hazrat Abu-saeed khudari Raziallahu ta Aala anhu se riwayat hai ke Rasool-Allah Sallallahu-Alaihi-Wasallam ne farmaya ki jo ek din Roza rakhe Allah ki raah mein to Allah ta aala uske munh (mooh) ko 70 saal yaani (sattar baras) ki raah tak dozakh se door kar deta hai
Keetab: Sahih Muslim ,Vol 1, 2713
Islamic 

Quiz Sawaal (3) RasoolAllah sallAllahu Alaihi wa sallam ne ye Dua kiske liye ki thi ? Ay Allah In per raham kar ke me bhi in per raham kerta hu

A. Hasan radhiAllahu anhu
B. Husain radhiAllahu anhu
C. Ali radhiAllahu Anhu
D. Usman radhiAllahu Anhu
E. Fatima radhiAllahu anha
F. Usama radhiAllahu anhu
G. Zaid radi Allahu Anhu
H. Abubaker radiAllahu Anhu
Sahi Jawab : Hazrat Usama bin Zaid radhi Allah anhu ney bayan kya ke Rasool Allah sale Allah aleh wasallam mujhe apni ek Raan par bitha te they aur Hazrat Hasan radhi Allah anho ko doosri Raan par bithla te they. Phir donon ko milatay aur farmatay, Ae Allah ! In dono par reham kar ke mein bhi un par reham karta hon
Keetab: Sahih Al-Bukhari 6003




No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"