Breaking

Parda - Hijab Ke Darjaat

(1) Parda hijab ka Pehla Darja

Aurat khud ko ghar ki chaar deeawri ka iss tarah se paband bana le ki kisi gair mard ki nigah uss par na padey, Yaani koi gair mahram iss ke jism ko ya libaas tak ko na dekh paaye.
(2) Hijab parde ka dusra darja

Parde ka dusra darja yeh hai ki agar kisi majburi ke tahat ghar ki chaar deewari me khud ko paband na kar sakey aur bahar nikalana hi padey to khub parde ka ehtimaam karke nikle taaki koi aap ko pehchan naa paaye.
Parda - Hijab Ke Darjaat
Parda - Hijab Ke Darjaat
(3) Parde ka teesara darja
Parde ka teesara aur sabse kamtar darja yeh hai ki aurat kam se kam iss qadar parde ka aehtimaam jarur karay ki jiss kadar Rab ki baargaah me hazir hote yaani namaz padhte waqt laazim hai, muraad yeh hai ki Na-mehram ke saamne kam se kamm Sitre Aurat ka khyal jarur rakhey.Sitre Aurat Kya Hai ?
Sitre aurat yeh hai ki Aurat - khawaateen - Womens ke liye inn paanch aaja ka chhipana laazmi wa jaruri hai. woh paanch (5) aaja iss tarah hai,
Mooh ki tikli, dono haath ki hatheliyan Aur dono paav ke talvo ke Alava saara jism chhipana laazmi yaani bahot hi jaruri hai. Albatta Agar dono haath (gitto tak) Aur Dono paav (takhno tak) Mukammal jaahir ho to ek mufta beh kaul par namaz durust hai, Aisa baarik kapda pehnna jissey badan ka woh hissa jiska namaz me chhupana farz hain wo nazar aaye ya jild (yaani badan ki chamdi) ka rang jaahir ho to namaz na hogi.
Aur yeh bhi yaad rakhiye ki itna mota - jaada kapda jissey badan ka rang to na chamakata ho Magar badan se aisa chipka ho ki dekhne se ujv ki haeat (Yaani Saql Soorat Aur Badan ki Golai Vagairah) Maloom hoti ho Aise kapde se Namaz to ho jaegi Magar uss ujv ki taraf dusro ko nigah karna jaez nahi, (2) Aisa libaas jo logo ke saamne pehan na mana hai Aur Aurato ke liye darja e aula mumaanat. Baaz Aurate malmal vagairah ki aisi baarik chaadar Namaz me odhti hai, jissey Balon ki siyahi (kaalak-baalo ka rang) chamakta hai yaa aisa libaas pehanti hai jissey Aaja ka rang nazar aata hai, Jaan le ki aise libaas me bhi namaaz nahi hoti.
Keetab : Bahare Shariyat - Namaz ki Sharto ka Bayaan 1/480


No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"