Breaking

Islamic quiz no 2

Islamic quiz no 2

Dono Sawaal ke jawab ek Saath Dene ki Kosis karey.

Sawaal 1: Qayamat ke din RasoolAllah ( ﷺ ) ummat ke Kuch logo ki sifarish ke liye kitne Baar Allah ke samne sajdah karenge?
A. 2 baar
B. 3 baar
C. 4 baar
D. 5 baar
E. 6 baar
E. Inme SE koi nahi
F. Sahi jawab Ka intezar,

islamic Sawaal 2: 

Muslim sharif ki hadith ke mutabiq Jab RasoolAllah ( ﷺ ) aakhri baar sajdah karenge tab Allah 'Azzawajal SE Aap ( ﷺ ) kin logon KO Jahannum se nikalne ki ijazat mangenge ?
A. Jis ke Dil me jao ke Dane ke baraber bhi Iman ho
B. Jis ke Dil me gehu ke Dane ke baraber bhi Iman ho
C. Jis ke Dil me Rai ke Dane ke baraber bhi Iman ho
D. Jis ke Dil me rai ke Dane se bhi Kam se Kam ke baraber bhi Iman ho
E. Jisne sirf La ilaha illaAllah Muhammadan RasoolAllah Kaha ho
F. Jisne sirf La ilaha illaAllah Kaha ho
G. Inme SE koi Nahi
H. Sahi jawab Ka intezar
islamic-quiz
Islamic quiz no 2

Dono Sawal ke sahi jawab ye hai

Hazrat Anas Raziallaho anho ne farmaaya ki
Hamein RasoolAllah ﷺ ne bataya, Jab qayamat ka din ho ga to log moajoon ki terhan aik dosray se takra rahay hon ge. Woh Aadam alaihi salam ke paas ayen ge aur un se arz karen ge, Apni aulaad ke haq mein sifarish kiijiye ( ke woh maidan hashar ke masaaib aur jaan gasl intzaar se nijaat payen. ) Woh kahin ge. Mein is ke liye nahi hon, lekin tum Ibrahim alaihi salam ka daman thaam lau kyunkay woh Allah taala ke khalil ( khalis dost ) hain log Ibrahim aleh salam ke paas jayen ge. woh jawab den ge. Mein is ke liye nahi. lekin tum Moosa aleh salam ke paas poanch jao woh kaleemu Allah hain ( jin se Allah ne baraah e raast kalaam kiya ) to Moosa aleh salam ke paas haazri ho gi. Woh farmaen ge : Mein is ke liye nahi. lekin tum Isa ‌ ﺭﺿﯽ ‌ ﺍﻟﻠﮧ ‌ ﻋﻨﮧ ke sath lag jao kyunkay woh Allah ki rooh aur is ka kalma hain. To Isa ‌ ﻋﻠﯿﮧ ‌ ﺍﻟﺴﻼﻡ ke paas aamad ho gi, woh farmaen ge : Mein is ke liye nahi. lekin tum Muhammed ﷺ ke paas poanch jao, to ( un ki ) aamad mere paas ho gi. Mein jawab doun ga,  is ( kaam ) ke liye mein hon. Mein chal padhun ga aur apne Rab ke samnay haazri ki ijazat chahoon ga, mujhe ijazat ataa ki jaye gi, is mein Uske samnay khara hon ga aur tareef ki aisi baton ke sath Us ki hamd karoon ga jis par mein ab mein Qadir nahi hon, Allah taala hi yeh ( hamd ) mere dil mein daaley ga [phir mein Uske huzoor sajday (pehla sajda) mein gir jaoon ga] phir mujh se kaha jaye ga : Ae Mohammad ! apna sar uthaen aur kahe, aap ki baat suni jaye gi, mangen, aap ko diya jaye ga aur sifarish karen, aap ki sifarish qubool ki jaye gi. Mein arz karoon ga. Ae mere Rab! meri ummat ! meri ummat! to mujh se kaha jaye ga. Jayen jis ke dil mein gandum ya jo ke danay ke barabar imaan hai usay nikaal len, mein jaoon ga aur aisa karoon ga, phir mein apne Rab taala ke huzoor lout aon ga aur hamd ke unhi asloobon se Us ki tareef bayan karoon ga, [phir is ke samnay sajday ( dusra sajda) mein gir jaoon ga] to mujhe kaha jaye ga. Ae Mohammad ! apna sir utthayen aur kahe, aap ki baat suni jaye gi aur mangeen, aap ko diya jaye ga aur sifarish karen, aap ki sifarish qubool ho gi. Mein arz karoon ga : Ae mere Rab! meri ummat! meri ummat! mujhe kaha jaye ga : jayen, jis ke dil mein rai ke danay ke barabar imaan ho, usay nikaal len. to mein jaoon ga aur aisa karoon ga, phir apne Rab ke huzoor lout aon ga aur Us jaisi tareef se Us ki hamd karoon ga, [phir is ke samnay sajday (teesra sajda) mein gir jaoon ga] to mujh se kaha jaye ga : Ae Mohammad ! apna sir utthayen, kahe, aap ki baat suni jaye gi aur mangeen, aap ko diya jaye ga aur sifarish karen, aap ki sifarish qubool ho gi. to mein kahoon ga : Ae mere rab! meri ummat! meri ummat! to mujh se kaha jaye ga : jayen, jis ke dil mein rai ke danay se kam, is se ( bhi ) kam, is se ( aur bhi ) kam imaan ho usay aag se nikaal len to mein jaoon ga aur aisa karoon ga . Phir mein chothi baar apne Rab ki taraf loutoon ga, phir unhi tareefon se is ki hamd bayan karoon ga, [phir is huzoor sajda raiz (chotha sajda) ho jaoon ga]to mujh se kaha jaye ga : Ae Mohammad ! apna sir utthayen aur kahe, aap ki baat suni jaye gi aur mangeen, aap ko diya jaye ga aur sifarish karen aap ki sifarish qubool ho gi. to mein arz karoon ga : Ae mere Rab! mujhe un ke baarey mein ( bhi ) ijazat degiye jinhon ne ( sirf ) laa ala ila Allah kaha. Allah farmaiye ga : yeh aap ke liye nahi lekin meri izzat ki qisam, meri kibriai, meri Azmat aur meri barayi ki qisam! mein un ko ( bhi ) jahannum se nikaal lon ga jinhon ne laa ala ila Allah kaha.
Muslim Hadith 479




No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"