Breaking

Ashura ka Roza 10 Muharrram

Yaum E Aashura 10 Muharram Ko Roza Rakhna Sunnat E Nabi Hai.

Hadees Hazrat abdullah Ibn abbas radi allaho anho ee rivayat hai ke. Nabi e karim jab madina tashreef laaye to yahudiyo ko dekha ke Aashure ke din ka roza rakhte hain. Nabi e karim ne unse puchha ke roza kyun rakhte ho ?.
Unhone kaha ye wo mubarak din hai jab Allah ne bani israel ko unke dushman se nijaat di. To hazrat moosa alaihsalam ne iss din roza rakha.
To nabi e karim ne Irshad farmaya hum tumse zyada dost aur kareeb hain moosa alaihssalam ke, Phir nabi e karim ne musalmano ko aashure ke din roza rakhne ka hukm diya.
Reference : [Sahi Bukhari Vol :03, Pg : 133, Kitabus Saum, Baab : Saum E Yaumal Aashura, Hadees : 2004]

Hadees No: 2
Hazrath abdullah bin abbas radi allahu anhu se rivayat hai ki jab RasoolAllah ne Aashurey ke din muharram (10 Muharram) ka roza rakha aur Isey rakhne ka huqm (Order) kiya, To logo ne arz ki yaa RasoolAllah, ye din to aisa hai ki Iski taazim yahood o nasaara bhi karte hain. To aap ne farmaya ki, Jab agla saal ayega to InshaAllah hum 9 muharam Ka roza (Bhi) rakhege, Aakhir agla saal na aane paya ki aap ne duniya se parda farma liya.
Reference : [Sahi Muslim Vol :03, Pg :205, Kitab As Saum, Hadees : 2666] 
( 10 vi Muharram Ke Sath 9 vi Muharram Ka Roza Bhi Rakkhe. )
Ashura ka Roza 10 Muharrram
Ashura ka Roza 10 Muharrram

Ishale Sawab Shahidane Karbala

Hazrat sayyidana imam hussain aur dusre shahidane karbala ke naame paak par jis qadr ho sake sadqa Aur isale sawab kare balki inn rozo (Nafli Roze Jaise Aashura Ka Roza) wagerah tamam nek aamalo ka sawab isi janab me nazr pesh karey, Garmiyo me Inke naam par Muharram me sharbat pilaye, Shardi me chay pilaye Aur nek niyyat paak  maal se Sharbat chai khane ko jitna chahe lazeez Aur khub accha kare sab khair neki
hai, Khichda pulav firni jo chahe aur jo ho sake taaqat mutabik logo me bante, Muhtajo ko khilaye, Apne ghar walo ko khilaye nek niyyat se sab sawab hai.
Jaisa ki saheeh hadees, Se sabit Hai, Yahan tak ki hUZUR E ANWAR Ne Irshad Farmaya "Jo Kuchh Tu Apne Aap Ko Khilaye Wo Bhi Tere Liye Sadqa Hai.
(Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal  4/131)
[ Fatawa Razaviya Jild : 24 Safha : 494, 495 ]
Sadqa E Jariya K Niyyat Se Share Jarur Karey.

Read Islamic Quiz (islamic Sawal - Jawab)

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"