Breaking

Shaheed Hadees In Urdu

Shaheed Ki 3 Kismey Hain


First was sahide hakiki. woh jo allah ki raah me qatal kiya jaaye
Second was sahide fikahi. woh jo aakil balig musalman hain. Jiss par gusl farz na ho aur wo kisi aaliye jariya yaani bandook ya talwar se julman katl kiya jaaye. Aur zakhmi hone ke baad duniya se koi  faayada na hasil kiya ho, ya jindo ke ahkaam me se koi hukm uss par saabit na ho. Maslan laathi se maara gaya ya kisi aur ko maara ja raha tha aur ye mar gaya, ya jakhmi hone ke baad khaaya piya ilaaz karaya, aur namaz ka poora waqt hosh me guzara ya kisi baat ki wasiyat ki to woh sahide fikhi nahi.
Magar sahide fikhi na hone ka ye matlab nahi ki ussey sahadat ka sawab bhi na milega, Balki matlab yeh hai ki agar sahide fikhi hota to bina gusl diye, ussey uske khoon aur kapdo ke saath namaze janaza, padh kar dafan kar detey magar ab ussey gusl bhi karaya jaega aur qafan bhi diya jaega.
Shaheed Ki 3 Kismey Hain

Shaheed Ki 3 Kismey Hain


Number third of shahide hukmi,

woh hota hai julman qatal to nahi kiya gaya magar kayaamat ke din ussey shahido ke saath uthaya jaega.

For example. jo doob kar marey. jal kar mare, kisi chij ke niche dabb kar marey. nimoniya ki beemari me marey aur pet ki beemari me mar jaaye aur Taaun se jo aurat baccha janne ki halat me marey. jumney ke din ya jumma ki raat me mar jaaye. Aur taalibe ilm, Aur jo 100 baar rozana durood, padhey aur sahadar ki tamanna rakkhey. jo paak daaman kisi ke ishq me marey, dauran e shafar me bukhar ya mirgi yaa sill ki beemari me marey. Jo kisi musalmaan ki  jaan maal aur izzat aur hakk bachane mei mar jaaye, jissey kisi darinde ne phaas khaya ho. Jissey kisi baadshah ne qaid kiya ho aur woh mar jaaye, muji jaanwar ke kaat jaane par mar gaya ho, jo muazzin sawab ke liye azaan deta ho. Jo chast ki namaz, padhta ho. jo fasaad e ummat ke mauke par sunnat par kaayam ho. Jo beemari ki haalat me 40 martaba aayate kareema padhey. kuffar ke mukabale me. jo har raat surah yaaseen, padhey aur jo ba wazu soya aur marr gaya. Jo allah se shaheed hone ki dil se dua karey.
Ba hawala keetab - khutbat e muharram. page number. 20
Kya aap jaante hai, safah 582

Allah rabbul izzat quraan me irsaad farmata hai ki, Jo khuda ki raah me maarey jaaye unhe murda na kaho. Balki woh zinda hai. haa tumhe khabar nahi. parah 2, surah baqar, aayat 154.
Aur jo allah ki raah me maare gaye hargiz unhe murda na khyal karana balki wo apne rab ke paas jinda hai rozi paate hai, Para 4 surah al-imran, aayat 169.

No comments:

Post a Comment

Www.islamicweb.site

"Our website/blog does not use any copyright protection" "Our website/blog adheres All the terms And conditions of Google" " All the articles/posts on this website are unique. And does not permit any of wrong thing"